(READ IN HINDI)

PREM KI SHER O SHAYRI

Yeh ishq nahin asaan hai yeh pyaar bada mushkil
Yeh ishq nahin asaan hai yeh pyaar bada mushkil
Hum to tere deewane hai
aur hamesha tera deewana rahega mera dil

**************************************************
Kuch log ishq ke maare doob jaate hai
Jin ko ishq nahi hota woh zehar pikar mar jaate hai
Aye Sanam hum aashiq hai tere bewafa nahi
Hum tere dil mein hamesha rahenge jab tak tum chaahoge
Agar Tum nahi mile to hum Moth ko gale laga lenge

***************************************************
Main awara nahi main badal nahi hoon main aashiq
Tere naam ka
Main paagal hoon ya aashiq hoon bas deewana
Tere naam ka

*******************************************
Teri Aankhon se peeloo Sharaab
Tere Hoton se peeloo Jaam
Seene se lagalo aur
Tere Dil mein likhdoo mera naam

**********************************************
Kuch Laila bane Kuch Majnu bane
Kuch Heer bane kuch Ranjha bane
Kuch Adam bane kuch Eve bane
Magar hum kya bane yeh to rab hi jaane
Aur hamaara Ishq hi jaane

*************************************************
Jabhi main teri in aankhon mein dekhta hoon
To main in mein khojaata hoon
Jabhi main teri Hoton ko Chhoota hoon
To aisa lagta hai ke tere hoton pe mera naam basa hai
Jabhi main tumhe seene se lagata hoon
To aisa lagta hai ke tumhaare dil ne mere dil ko pukaara hai
Jabhi main tumhaare in baalon ko Chhoota hoon
To phool barasne lagte hai

*************************************************
Aye mehbooba mujhe itna Tarpao mat
Aye Dilruba mujhe itna Satao mat
Aye Jaan tumne kiye the Vaada
Kab Aaoge Kya hai Iraada
Kab milne ko Aaoge

************************************************
Duniya mein kitni bhi hai Nafrate
Phir bhi Dilo mein hai Chaahate
Duniye mein kitni bhi hai Nafrate
Phir bhi dilo mein hai Chaahate
Mar bhi Jaaye Yaarwale Mit bhi jaaye Pyaarwale
Zinda Rehti hai unki Mohabbatein
Zinda rehti hai unki Mohabbatein

**************************************************
Kabhi kabhi mera mann aur mera dil tumhaare saath
Kuch pal beetna chahte hai
Kuch Pal geet gaana chahte hai
Kuch pal baatein karna chahte hai
Kuch pal tumhaari aankhon mein khojaana chahte hai

**********************************************
Oh meri Sapno ki rani
Chahe tum Hindustan mein ho ya Ragestan mein
Tum jaha bhi ho jald se aajao
Mere dil ko teri hai zaroorat

*************************************************
Lambe baalwali ho ya medium baalwali
Ho tum bahut khoobsurat
Magar mera dil kya kare
Hai tumko bahut zaroorat

***********************************************
Kaash main tumhaare liye kuch bhi kar sakta hoon
Kaash main tumhaare liye raat ke chaand aur taare tod kar tumhaare godh mein rakh leta
Kaash main tumhe hamesha pyaar karta rehta aur mera dil aur jaan tere liye loota deta
Kaash main tumhe aasmaan ke saher karata take tum mujhe jiy bhar ke pyaar sakhte ho
Kaash main yeh sab shayari aur kavitaye sab tumhaare naam kar deta
Kaash main tumko keh pata ke main tumse kitna pyaar karta hoon

***************************************************
Jab se main tumhaara chehra parda hoon
Main sochta hoon kya tum mere liye banaya gaye ho
Jab se main tumhaare aankhen dekha
Main sochta hoon kya tum ek pari ho jo insaan ke roop mein aaye ho
Jab se main tumhaare haath parda hoon
Main sochta hoon ke kya in mein mera naam likha hai ke nahi

****************************************************
Jab main chand ko dekhta hoon to tera chehra nazar aata hai
Aisa lagta hai ke tum ek chaand ka tukda ho
Jab Chaand hasti hai to main tumhaara muskaan dekhta hoon
Jab Baarish hone lagte hai to main sochta hoon ke tum ro rahi hoa
Kaash main tumhaari in Aansoon ko poch sakta hoon
Kaash tumhe mera sapna dekhaata
Kaash tumhe apna bana leta
Kaash tum apne sar mere upar rakhte aur
Sare ghum nikaal dete aur main tumhe har khushi de sakta hoon
Kaash hum hamesha ek rahe aur kabhi juda na ho

*********************************************
Jab se maine tumhe dekha hoon
Tab se mera raat ke neend ud gayi
Aankhen bandh karoo to main tumhe dekhta hoon
Jab mera aankhen khula rehta hai to main tere baade mein sochta hoon
Jab tum nahi aate to mera mann aur dil udaas ho jaata hai
Pata nahi kya hogaya hai mujhe

***********************************************
Tumhaari naam bahut pyaari hai
Tumhaari aankhen bahut pyaari hai
Tumhaara muskaan bahut khaas hai
Mera dil kabhi kabhi sochta hai
Ke tumse haath milaane ko

*********************************************
Kuch dost aise hote hai jo jaane ke baad bhi nahi aate
Kuch dost aise hote hai jo jaane ke baad bhi nahi aate
Magar
Kuch dost aise hote hai jise dil se yaad karo
To Vo wapas zaroor aa jaate hai

***********************************************
Maine tumhe bahut dhoonda
Sab se sawaal bhi bahut pooche
Ke tum kahan gaye ho
Jab jawaab mila ke tum
College aur shehar chhode ho
To main bahut udaas tha
Maine tumhe yaad bhi bahut kiya
Magar tum nahi aaye
Jab maine dil se pratna kiya
Ke tum jald se mil jaao
Bhagwaan ne mera kehna sun liya
Aur main bahut khush hoon
Jab maine tumhe saamne paaya

*********************************************
Teri aankhon par saje kajal se
Tere pairo par baandhe payal se
Tere kaano par saje sone se
Tere gale par saje gehne se
Tere hoton se pukaare mera naam
Kahan ho tum meri jaan

******************************************
Main tera Sharaab tu meri Jaam
Main tera Chaand tu meri Chaandni
Main tera Phool tu meri Khushboo
Main tera Raja tu meri Rani
Phir bhi kyon hum dono hai doori

***********************************************
Pyaar diya to dil denge
Dil diya to dard denge
Dard Diya to Jaan denge
Tum nahin mile to hum
Sab kuch Jala kar raakh kar Denge

**********************************************
Chham chham karke Aayegi
Tham Tham karke Jaayegi
Kuch Kahe to Vo hasaayegi
Kuch na kahe to Vo Rulaayegi

**********************************************
Mujhe na koi ghar mein rehna hai
Mujhe na koi mandir mein rehna hai
mujhe na ko ghar mein rehna hai
Mujhe na koi mandir mein rehna hai
Mujhe na koi bas mein rehna hai
Mujhe bas rehna hai tere dil mein
Teri dhadkan bankar

************************************************
Teri ek aasoon saagar ki moti ki tarah hoti hai
Teri ek muskaan surya ke kirne ki tarah hoti hai
Teri ek jhalak karde mere dil ko ghayal
Jab hum chhup baitthe hai to
dil aapas mein baat kar lete hai
Jab dil khamosh rehta hai tab
Ishaaro se baat kar lete hai
Jab hum baat karte hai tab
Dil kehta hai dusre dil se ke
Jaanam hum mohabbat karte hai aapse

***********************************************
Mohabbat kya cheeze hoti hai
denewalo ko bahut pyaar dete hai aur
Na Denewalo ko kum  pyaar milte hai ya kuch nahi milte
Mohabbat ek zariya hai jis se do dilon ko milata hai
Agar mohabbat na hota to itne saare premi ajnabee hote ya sirf dost hote

*******************************************
Chham Chham kar gayi
Dil ko Ghayal kar gayi
Bina kuch kahe
Mujhko bhula kar Gayi

*******************************************
Neele Neele aankhen
Gore Gore Gaal
Aye Hai!!! Teri adaa
Karde mere dil ko bura haal

*******************************************
Mausam badalte rehte hai
phool khilte hai baagon mein
Log milte hai Galiyon mein
Jab raat hoti hai tab chaand taare hote hai
Log apne – apne premi ke khayaalo mein khojaate hai
jab subha hoti hai tab surya ke kirno se use jagaati hai
Vo kirno ki roshni se ut jaata hai phir apne kaam ke liye tayaar hojaate hai
Vo sajhti hai aur savarti hai subha subha aur kaam par nikal jaati hai
Phir Vo kaam ke break se apna beetha hue lamhe mere baade mein sochti hai
Phir Unke kaam ke baad raat ko apne ghar aa jaati hai
Ekdum thaka hua vo baithjaati hai
abhi tak vo sochti hai ke kab aayega unke premi unse milne
vo Intezaar karti hai us lamhe tak jab unka premi unse milne ko aayega

**************************************************
Chamakti huyi taare Sarsarati huyi leher
Chamakti huyi taare Sarsarati huyi leher
Aaj kehti hai humse Aa dosti kar le
Beethe huye pal ko bhool kar
Aanewale pal mein jee le
Kal ho na ho hum rahe na rahe
Par Hamaari dosti sada jawaan rahe

******************************************************
Phool khilte hai bagaion mein log milte hai galiyon mein
Phool khilte hai bagaion mein log milte hai galiyon mein
Pyaar hota hai dil se par hum pyaar karte hai tumse

************************************************
Baarish tapti hai asmaan se
Jwala phati hai dharti se
Dil milaate hai pyaar se
Aur mohabbat hoti hai badi mushkil se

************************************************
Dil phoolon se banta hai kaanton se nahi
Dard Kaanton se banta phoolon se nahi
Hum pyaar karte hai tumse kisi aur se nahi

***********************************************
Teri baalon par saje gajra
Teri Aankhon par saje kajra
Tere haathon par lage Kagna
aur…
Tere dil pukaare Sajna… Sajna…

**********************************************
Maathe par bindiya laga kar aayi
Kaano par Jhumke laga kar aayi
Gale par Gehne saja kar aayi
haathon mein kangna laga kar aayi
Aur Pairon mein payal baand kar aayi
Main Muskuraaye Vo Sharmaaye
Haathon par saje mehndi ke Rang
Aur uske dil dole mere sang
Aayi Re….Aayi
Meri dulhan bankar Aayi

*********************************************
Mere dil to pagal hai tere liye de doon zindagi humaari
Kyo ki tum bane mere jeevan saathi aur main banoo tera humraaz
Pata nahin koi mere dil se pooche kuch to hai
Jis se dil kuch kuch hota hai aur mera mere dil mein sirf tum ho
Kyo ki tera naam basa hai aur soch raha hai
Kabhi na kabhi dilwale dulhania le jaayenge
Ab tum bhi kaho na pyaar hai jab kaho dil se kaho
Aur mujhe kuch kehna hai ki mujhe jeena hai sirf tere liye

***********************************************
Katil kare teri nazre
Hosh uraaye khulle huye teri baal
Dil machalta hai teri meethi huyi baatein
Dil ko tadpaaye teri yaadein
Dil toota hai tumse juda hokar
Par mohabbat badti hai tumse milkar
Dil ghayal hota hai jab tumhe kisi aur ke saath dekhta hoon
Dil paagal hota hai jab tum meri baahon mein hote ho

*************************************************
Kuch Shayri apni dil se likha hoon
Zara dil se padiyega
Kuch tasveere apni mann aur dil se banata hoon
Thoda Gaur kariyega
Kuch cheez apni dil mein rakha hoon
Ise andar dil mein rehne do
Agar bahar Aayega to dil toot jaayega
Jo Raaz hai usko raaz rehne do
Raaz hai ki “Jaanam hum mohabbat karte hai tumse”
Par darta hoon ye kehne ki kahin humaari dosti ka anth na hojaaye
Kahin mera dil na toot jaaye hamesha ke liye
Mera dil ek sheesha ke jaise hote hai
Koi pathar maare sheeshe ho to ttoot jaate hai
Dil tootne par chithere ho jaate hai
Aur chithere ko uthaane se khoon nikal aate hai
Khoon nikal ne se bahut dard hota hai
Aur main tumhaara dard nahi seh sakoonga

********************************************
Hai Mujhe shayri ki Shaukeen
Ghum ko bhulaane mein likhta hoon shayri
Pyaar ko paane mein likhta hoon shayri
Khaas dost logo se main banata ho shayri
Pyaar khone mein likhta hoon shayri
Hai Mujhe shayri ki Shaukeen
Bichhade huye dost ko milata hai shayri
Pyaar ko masboot banata hai Shayri
Dil ko milaata hai Shayri
Rokar, Hasaata hai shayri
Akhir Log kyon likhte hai Shayri
Log apne ehsaas ko jagaate hai shayri
Hai mujhe Shayri ki Shaukeen
Isliye main likhta hoon shayri

*********************************************
Diwali laaye khushiyo ki roshni aur mitaas
Holi Laaye Pyaar Bhari Rang
Christmas laaye Dher saare tofe aur
Valentine’s Day Laaye dil ka Ehsaas

**********************************************
Kuch log ishq mein pagal hote hai
Kuch log ishq mein ghayal hote hai
Kuch Log ishq mein pagal hote hai
Kuch log ishq mein ghayal hote hai
Yeh kambakht ishq hi  aisa cheez hai jo dete hai
Kabhi khushi Kabhi Ghum

********************************************
Har Bagion ki gulaab ho tum
Har Khushboo ki Sugand ho tum
Har Geet ka Ghazal ho tum
Har Kaviyo ki Kavitaaye ho tum
Har Muskuraahat ki muskaan ho tum
Har Asasoon ka sahara ho tum
Har Mithaai ka Mitaas ho tum
Par in sab se pehle...
Aye Dost Bahut Khaas ho tum

******************************************
Aankhon par aankhen
Dekhe hai sapne
Aankhon par aankhen
Dekhe hai sapne
Aankh khuli to
Sapne bhi huye apne

*****************************************
Dil tod ke na jaa
Mu Mod ke na jaa
Dil ko ghayal kiye jaa
Bas apna bana liye jaa

******************************************
Raste hai lambe
Duur tak jaana hai
Pyaar ka rasta
Use Nibhaana hai

*********************************************
Yeh Pyaar kya cheez hoti hai
Humne jaana nahi
tumse milkar
Humne pehchaana nahi
Tumse duur hokar hume ehsaas hua
Yeh pyaar kya cheez hoti hai

*******************************************
Badal garja barsaat na aaye
Suraj chamka roshni na aaye
dil pukaara aur tum na aaye

********************************************
Sharaab Shabaab hai
Pyaar Pyaas hai
Dilruba meri shabnam hai
Ishq bhool jaana namumkin hai
Iski sapne rulaati hai
Iski chaahat tadpaati hai

******************************************
Vo Dil, Dil kis kaam ka
Jisme dilruba na ho
Vo pyaar kis kaam ka
Jisme mehbooba na ho
Vo Sharaab kis kaam ka
Jisme nasha na ho
Vo Shayri kis kaam ka
Jiska asar na ho
Vo Dosti kis kaam ka
Jiska bharosa na ho

******************************************
Rishta Banta hai Phoolon se
Dushman banta hai kaaton se
Dosti banta hai bharose se
Pyaar banta hai ehsaas se

********************************************
Rooth kar humko bhool mat jaana
Rooth kar humko bhool mat jaana
wafa se bewafa mat kar jaana

********************************************
Teri chaahat tadpaati hai mujhe
Teri yaadein sataati hai mujhe
Tum door hokar bhi paas bulaati ho mujhe

********************************************
Rokar hasna seekho
Haskar rona seekho
Zindagi bhi aaye to jeena seekho
Kal kya pata hum ho na ho
Maut bhi aaye to marna seekho

********************************************
Na main Duryodhan hoon
Na main Shree krishna hoon
Na main arjun hoon
Main to bas
Veer Balak Abhimanyu Hoon

********************************************
Tasveer zara banata hoon
Zara gaur kariyega
Tasveer zara banata hoon
Zara Gaur kariyega
Yeh kisi aur ki tasveer nahi
Sirf teri hai Mehbooba

********************************************
Chaahe Agra ki Taj Mahal ho ya Delhi ki lal Quila
Har Imaarat ki koi na koi kahani hoti hai
Kitne Raja Aaye kitne Raja Gaye
Har Imaarat  par kisi na kisi  rajaye ki kabar hoti hai
Log abhi bhi yaad bhi yaad karte hai un rajao ki jo imaarat banakar gaye

********************************************
Chaahe Bunty ka babli ho ya
Majnu ka laila ho ya
Kisi Raja ka Rani
Tum to sirf meri dil ki rani
aur hum dono pura kar sakte hai
Apni Prem Kahani.

********************************************
Pyaar na Phoolon se banta hai na kaaton se
Pyaar na phoolon se banta hai na kaaton se
Bas banta hai dil aur ehsaas se

********************************************
Masjit banta hai musalmaano ke liye
Mandir banta hai hinduo ke liye
Dil banta hai sab ke liye
Ghar banta hai rehnewalo ke liye

********************************************
Humse door hokar juda mat hona
Humse door hokar juda mat hona
Dil ke kareeb rehkar udaas mat hona
Paas rehti ho tum mere kuch to kaho na

********************************************
Maathe par Bindiya
Churaaye mera Nindiya
Kaano par Jhumke
Maare Sabko tumke
Haathon par kangna
Bas banale apna

********************************************
Na raat ko neendh aati hai
Na din ko chain aati hai
Har Roz tumhaari
Yaadein Yaad aati hai
Aur sapno mein tum aati ho
Kitna tadpaati ho aur kitna sataati ho
Kitna bechain karati ho mere dil ko
Ke milne ki chaahat hojaati hai

********************************************
Na Pyaar koi khel hai
Na pyaar koi sauda hai
Na pyaar koi khel Hai
Na pyaar koi sauda hai
Pyaar to Bas
Do Dilon ka Vaada hai

********************************************
Na shaadi koi khel hai
Na shaadi koi sauda hai
Na Shaadi koi khel hai
Na shaadi koi Sauda hai
Shaadi to bas
Saath janmon ka Vaada hai

********************************************
Hasaaye Vo Dsoti
Rulaaye Vo Pyaar
Milaaye Vo Dosti
Mitaaye Vo Pyaar
Zindagi deti hai Vo Dosti
Zindagi Lete hai Vo Pyaar
Aakhir Log dosti chhod kar
Kyo karte hai Pyaar

********************************************
Hasaati hai Mohabbatein
Rulaati hai Mohabbatein
Phir bhi do dilon ko milaati hai Mohabbatein
Tadpaati hai Mohabbatein
Sataati hai Mohabbatein
Phir bhi do dilon ko jalati hai Mohabbatein

********************************************
Oh meri sapno ki rani
Ab mujhe sharaab bhi lagta hai pani
Kyo kar rahe ho itna Pareshaani
Mat karo itna Shaitani
Ab mera dil bhi bole
Jaani o meri Jaani

********************************************
Mohabbat na mulk se hota hai na mazhab se
Bas hota hai chaahat aur Ehsaas se
Mohabbat na naam se hota hai na Pehchaan se
Bas hota hai dil se

********************************************
Phool Khile Gulshan Gulshan
Badal garje Madham Madham
Payal bole Cham cham Cham cham
Dil mile Dhadkan Dhadkan

********************************************
Dil mein likhdiya tera naam
Hoton se peeliya tera jaam
Abhi raath bhi lagti hai mujhe shaam
Kaise kahoo tera naam

********************************************
Door hokar humein yaad aati ho
Door hokar humein yaad aati ho
Paas bulaane pas door kyo chali jaati ho
Kohinoor ho ya heera ho kuch to kaho
Ya kudrat ki karishma ho tum
Jo bhi ho dil ki rani ho tum

********************************************
Humko sirf tumse pyaar hai
Dil ka sirf tera hi intezaar hai
Seene mein ek raaz hai ki
Jaanam hum tumse mohabbat karte hai

********************************************
Humsafar bankar Aayenge
Humsafar bankar Jaayenge
Tum kaho to hum tumhaare liye
Saath Janmon Hojaayenge
Varna…
Maut ko bhi gale laga jaayenge

********************************************
Marte Marte hum marna sake
Jeete Jeete hum jeena sake
Sote Sote teri yaadon mein
hum sona sake

********************************************
Dil diya humne vo muskuraake le liye
Dil diya humne vo muskuraake le liye
Do baatein kiye the humne
Vo sharmaakar chhupgaye

********************************************
Pyaar ho bananewale to khoob dekhe hai
Pyaar ko mitaanewale to bahut dekhe hai
Par pyaar ko masboot bananewale ko
Pehli baar ek sacha aashiq dekhe hai

********************************************
Jeena bhi mushkil
Marna bhi mushkil
tere begair har kaam
bhi Lagta hai mushkil

********************************************
Mehendi laga kar aayi
Doli mein baith kar aayi
Sasuraal chhod kar aayi
Apne saajan ke ghar aayi
Khushiyon ki bahaar lekar aayi
Meri dulhan bankar aayi

********************************************
Aankhon se aankhen milaadiya humne
Dil ko bhi phool Banadiya tumne
Haathon se pilaadiya tumne jaam
Ab mujhe raat bhi lagti hai mujhe shaam

********************************************
Har Laila ko dil todte huye dekha
Har Laila ko dil todte huye dekha
Par tujh jaisa laila ko
Dil sambhalte huye nahi dekha

********************************************
Kaaton se kheloge to
Khoon nikhlega
Dil se kheloge to
Dard milega
Phool se Kheloge to
Chaman khilega
Pyaar se Kheloge to
Toote huye dil milega
Zindagi se kheloge to
Maut milega
Maut se Kheloge to
Bhagwaan milega
Bhagwaan se Kheloge to
Shraap milega.

********************************************
Tum ek chaand ho
Jo raat ko jagmagaati ho
Tum ek sitaare ho
Jo Asmaan ko choojaati ho
Tum ek Phool ho
Jo Bagion mein khiljaati ho
Tum ek pari ho
Jo Har duao ko puri karjaati ho
Tum ek dil ho
Jo bhi chaahe tum uski hojaati ho
Par in sab se pehle
Tum sirf meri ho…

********************************************
Pathar ko phool banaya humne
Pyaar ko masboot banaya humne
Dil ko chura liya hai tumne
Bas apna bana liya tumne

********************************************
Humne tumko dekha
Tumne humko dekha
Baat Baaton mein
Hum dil lene – dene dekha

********************************************
Pyaar Majboori hai
Pyaar Kamzori hai
Pyaar to bas Zaroor hai

********************************************
Chaand ki aan ho tum
Zindagi ki dastaan ho tum
Gusra hua kal ki shaan ho tum
Phoolon ki Meherbaan ho tum
Dilruba meri jaan ho tum
Jo bhi ho…
Meri Aan baan aur shaan ho tum

********************************************
Haste Haste hum hasna seekha
Rote Rote humrona seekha
Jeete Jeete hum jeena seekha
Par Marte Marte hum marna nahi seekha

********************************************
Jeeyenge ek saath
Marenge ek saath
To hi do dil
Milenge ek saath

********************************************
Nazar se nazar milaaya karo
Dil ke kareeb aaya karo
Kuch meri suno
Kuch apni sunaya karo
Mere khwaabo mein tum roz aaya karo
Pare mere neende mat churaya karo
Rokar mujhe hasaaya karo par
Haskar mujhe mat rulaaya karo

********************************************
Na cold - drink aache lage
Na hot - drink aache lage
Na ice – cream aache lage
Tere Pyaar mein sab kuch
Sache lage.

********************************************
Sharaab peene se nasha hota hai
Sharaab peene se nasha hota hai
Pyaar karne se mazaa aata hai

********************************************
Haste haste hum hasna sake
Rote rote hum rona sake
Teri yaadon mein
 hum khona sake

********************************************
Aankhon par tumhe bithaaliya humne
Dil mein tumhe chhupaliya humne
Labon par tumhe sajaliya humne
Bas ek baar keh bhi do
Ke tumne jeevan saathi banaliya humne

********************************************
Saagar ke kinaare mein baithkar
Teri raah dekhta hoon
saagar ke kinaare mein baithkar
Teri raah dekhta hoon
Tum jab saamne aajaati ho
Kuch nahi keh paata hoon

********************************************
Yaadon mein tum aati ho
Sapno mein tum rulaati ho
Chaahat badaati ho
Itna bechain kyo karati ho

********************************************
Pairon mein paayal baandh kar aati ho
Dil mein kuch keh jaati ho
Labon ko ghayal kar jaati ho
Itna kyo sataati ho

********************************************
Tum aaye to phool khilne lage
Tum aaye to phool khilne lage
Tum gaye to Baarish hone lage

********************************************
Bhagwaan, Ishwar, Alaah hai ek
Magar inke roop hai anek
Kuch shaktiya hai zyaada, Kuch shaktiya hai kam
Magar nahi hai yeh kisi se kam

********************************************

Today, there have been 1 visitors (3 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free